TAWHEED KI QADR
Allama Ehsan Illahi Zaheer
Bismillahirrahmanirraheem
Tawheed
Ki Qadr Poochni hai Hai Toh Unse Poocho ! Jo Shirk ki Bastiyon Se Nikal Kar
Tawheed Ki Bulandion Par Aaye,
Kaaba
Ke Rabb Ki Qasam ! Tum Zindagi Ke Aakhiri Lamhaat Tak Khuda Ka Shukr Karte
Raho, Toh Uske Kiye Hue Inaam Ka Shukr Ada Ni kar Sakte Ke Allah Ne Tumhe Apni
Tawheed Ka Aalam bardar banaya hai..
Khata'kaaron
! Ek din Aayega Ke Tauheed Waale Ko Apni Tauheed Ki Ghairat Aayegi.
Kahega
Apne farishton Ko Ke Jaao, Mujhse Apne Bandon ka Jahannum Me Jalte Hue Dekhna
Gawaara Ni Kiya Jaata, Jinhone Mere saath Kabhi Shirk ni kiya.
Kahenge
Allah Ye bade Gunaahgaar they Unhone Bade Jurm Kiye,
Allah
Farmaayega Bade Bade Jurm Kiye Magar Mere Saath Shirk toh Ni kiya tha,
Farishtey
Kahenge Allah Ye Jal kar Khaak Ho chuke honge Unki Haddiyan Koyla Ho Gayi hain,
Unke chamde Jal gaye hain, Unke Chehre Badal Gaye Hain.. Unke Jismon Me toh koi
Baal nahin Raha,
Allah
Inko Jahannum se Nikaal kar kiya karenge,
Allah
paak Farmaayege Mujhe Meri Khuda'wandi Ki Qasam hai, Main inko JaNnat Ki
Naharon me Gote De de kar Is Tarah Kar dunga Jis Tarah Maa ke Pet se Aaj Hi
Phoolon Ki Tarah Paida Hue Hain.
Inhone
Mere Saath Kisi Ko Shareek Ni Kiya, Aur Maine Inko Ruswa Na karne Ka faisla Kar
rakha hai,
Aaj
Jitni Bimaariyan Hain Hamare Mulk Ki , Hamare Afraad Ki, hamri Qaum Ki, Hamari
Millat Ki.
In
Saari Bimaarion Ki Asal Jadh Shirk Hai
(Allama
Ehsan Illahi Zaheer, Quran wa Sunnat Conference, Sialkot 29 feb 1987)
No comments:
Post a Comment