Sunday, 24 May 2015

Jahez ek Allah ka Azaab Musalmano par mussalat kar diya gaya hai DAHEJ(DOWRY) KI LAANAT

Jahez ek Allah ka Azaab
Musalmano par mussalat kar diya gaya hai

DAHEJ(DOWRY) KI LAANAT

Bismillahirrahmanirraheem



DAHEJ KI LAANAT



Dahej ki rasm ab bhayanak roop apnaati ja rahi hai, kuch organisations ki taraf se rokne ki koshish ho rahi hai lekin dahej ka azaab thamne ka naam nahi le raha hai, 

dahej ke naam par aurton ke saath maar peet etc ka silsila jaari hai koi din aisa nahi guzarta hoga jisme kisi ne kisi newspaper me dahej ke maamle ko lekar marne maarne ki khabar na aati hogi.

Reports ke mutabik dahej ki sabse zyada khatarnaak shakl hindustan me hai aur aaye din dahej ki rasm mahngi se mahengi hoti ja rahi hai, ab to yah riwaj paida ho gaya hai ki jis pariwaar me ladkiyan zyada hoti hai to us pariwar ki poor zindagi ki kamaayi dahej me kharch ho jaati hai aur zyadatar udhar lene ki naubat aati hai jo pariwar maaldaar hota hai usko to zyada nahi khalta hai lekin jis pariwar ko do waqt ki sahi se roti na naseeb ho uske liye dahej ki rasmon ko poora karna koi aasan kaam nahi Hai,

zindagi ka zyadatar waqt dahej ki rasmon ko poori tarah ada karne ke liye samaan jutaane me hi lag jaata hai

abhi kuch dino pahle khabar chhapi thi ki agra ki 3 bahno ne dahej ki wajah se apne aapko maar daala, teeno ladkiyan padhi likhi thi, lekin dahej ki wajah se unko rishta nahi mil pa raha tha,

yah sirf ek waqeya hai ab to dahej dene ke baad bhi sukoon nahi mil pa raha hai, insan ke mann me kaun bhar paayega dahej ki koi mamooli cheez nahi mil paati hai to usko buniyad banakar ladkiyon ko pareshaan kar shuru kar diya jaata hai.

Ek baar ladki waalon ki taraf se kaha gaya ki agar koi maang ho to pahle hi bata do, bahtar hoga, ladke ke zimmedaron ne kaha ki hamari koi maang muraad nahi hai, lekin jab waqt kuch kareeb aaya to dil ki baat zuban par aa gayi,

ladki wale jab mithai lekar pahunche to kaha gaya ki ab to ghaas chheelne waala bhi do pahiya gaadi paata hai, kahne ka matlab yah tha ki Jab anpad do pahiya gaadi paata hai to hamara ladka padha likha hai usse chaar pahiya zaroor milni chahiye, isliye ab to pahle hi se ladki ke baap ko ya uske zimme daar ko dahej ke baare me poori tarah pahle hi se jaankaari deni padhti hai, kyonki use malum hai ki agar hamari taraf se offer nahi kiya gaya to nateeja ham hi bugatna padega,


jab kisi bhi samaj me is tarah ki soch paida ho jaayegi to phir ham yah kaise ummeed kar sakte hain ki samaaj dahej ki is azaab se chutkaara paa jayega


yah to sirf len den ki baat hai baraat ke naam par toofan e badtameezi chal rahi hai wah bhi samaaj ko dimak ki tarah chaat rahi.. Kahne ko tadaad to pahle hi muqarrar kar di jaati hai lekin shadi ke din dhoodh ka dhoodh aur pani ka paani alag ho jaata hai

bataya jaata hai ki sirf 50, ya 150 log aayenge lekin shaadi waale din ladki ke baap ka imtehaan liya jaata hai, yah dekha jaata hai ki agar tadaad 100 hai to 150 se zyada aa dhamakte hain,

ladki ka baap marta kya na karta wah tamaam baraatiyon ke kharch ko bardaasht karta hai kyonki usi malum hai ki agar hamne thodi bhi kotaahi ki toh hamari izzat ki khair nahi,

ladki ka baap maaldaar hai to wah ghareeb damaad dhoondna pasand nahi karta, kyonki use logon ko batana hai ki maine apni ladki ki shaadi unche khaandaan se ki hai, chaahe ladka padha likha deen daar ho ya naho kuch matlab nahi


chahe baraat ki rasm ho ya dahej ki ya dahej ke pahle ki, yah sab fuzul hai, samaaj ko in fuzool rasmon ke khilaaf awaaj uthaani chahiye kyonki yah sab rasmen samaaj ke nizaam ko bigaadh rahi hai jo poore samaaj ke liye khatarnaak hai


No comments:

Post a Comment